Friday, May 30, 2008

Kya baat ho...

Kitabon ke panno ko palatate hue sochata hoon main kabhi,
Ye jindagi palat jaye to kya baat ho.

Khwabon mai roz jo aati hai mere,
Haqueeqat mein mil jaye to kya baat ho.

Matlab ke liye dhunte hai mujhe jo,
Bina matlab mil jaye to kya baat ho.

Lahoo bahaker to sab le jayenge dil mera ,
Koi nigahon se chura le to kya baat ho.

Jo sharifo ki sharafat mai baat na ho,
Ek sharabi keh jaye to kya baat ho.

Saanson ke rahne tak to khushi dunga sabhi ko ,
Kisi ko meri maut par mil jaye to kya baat ho.


~Inspired by one of my friends.

1 comment:

Rachna said...

यही कविता अगर हिंदी में लिखी हो तो क्या बात हो!!!!!!!